Namaste dosto. Mera naam Arif hai aur main Mumbai ka rehne wala hoon. Maine MBA kiya hai aur ab main ek company mein kaam kar raha hoon. Bachpan se hi main thoda sharmila hoon, khaaskar ladkiyon ke maamle mein. Isliye college tak mere dostoon mein koi ladki nahi thi. Lekin jab bhi mujhe koi dost milta hai, main us dosti ko khoob nibhata hoon. Yeh kahani kuch saalon pehle ki hai, jab main apne gaon mein rehta tha.
Mere ghar ke bagal mein mere uncle ka parivaar rehta tha. Mere uncle ki ek beti thi, Sana, jo mujhse teen saal chhoti thi. Hum bachpan se saath khelte the, lekin hum dono ke beech hamesha nok-jhok rehti thi, shaayad hum dono hi kaafi ziddi the. Jaise jaise hum bade hue, ladaaiyan kam hoti gayi aur hum ache dost ban gaye. Ek din mujhe achanak ehsaas hua ki Sana ke prati mere jazbaat badal rahe hain. Mujhe laga ki main uske liye sirf ek dost se zyada kuch mehsoos karne laga hoon. Sana aksar hamare ghar aati thi, wo aur meri mummy aapas mein achha samay bitate the. Hum dono milkar TV dekhte aur games khelte the. Tab hamare ghar ke beech bohot achha samvad tha.
Maine Sana se apni feelings kabhi nahi batayi, kyunki mujhe dar tha ki agar usne mana kar diya toh hamari dosti bhi khatam ho jayegi. Main yeh sochta tha ki agar wo apne ghar mein ye baat bataye toh hamare dono parivaar ke beech dooriyan aa sakti hain. Is dar ki wajah se maine apne jazbaat teen saal tak chupaye rakhe. Phir ek din mujhe lagne laga ki Sana ke bhi mere prati jazbaat hain. Uske baaton aur harkaton se mujhe yeh lagne laga ki wo bhi mujhe pasand karti hai. Tab maine decide kiya ki ab main apni feelings use bata dunga.
Ek din jab Sana hamare ghar aayi, toh main ghar mein akela tha. Usne pucha ki meri maa kahan hai, aur maine jawab diya ki wo bazaar gayi hain. Jab Sana wapas jaane lagi, toh maine kaha, "Mat jao, kuch der baith kar baatein karte hain." Sana ruk gayi aur hum dono random baatein karne lage. Fir main usse poochta hoon, "Sana, agar main tumse kuch puchun toh tum such such bataogi?" Usne haan mein sir hilaya. Maine pucha, "Tumhe main kaisa lagta hoon?" Wo thodi der chhup rahi, phir boli, "Ek bandar ki tarah lagte ho." Main hans diya aur kaha, "Mazak mat karo, seriously batao." Usne ek nazar mujh par dali aur fir bhi muskurati hui boli, "Bandar hi lagte ho."
Mujhe laga ki ab waqt aa gaya hai apni feelings batane ka. Maine kaha, "Mujhe tumse kuch important baat karni hai." Wo muskura ke boli, "Bolo." Main nervous tha, lekin main bolna chahta tha. Maine kaha, "Sana, main tumse pyaar karta hoon aur main tumhare saath shaadi karna chahta hoon." Usne meri taraf dekha aur kuch seconds tak kuch nahi kaha. Phir wo bole bina ghar laut gayi. Agle do din tak Sana hamare ghar nahi aayi. Mujhe bohot chinta ho rahi thi. Phir main uske ghar gaya, lekin uski maa wahan thi, isliye main kuch keh nahi saka.
Agli subah main use college ke raste mein mila aur maafi maangi. Usne kaha, "Koi baat nahi, raat ko phone pe baat karte hain." Raat ko uska phone aaya aur usne pucha, "Tum jo keh rahe ho, kya wo sach hai?" Maine usse kaha, "Haan, main tumse sach mein pyaar karta hoon." Tab usne kaha, "Mujhe bhi tum pasand ho, lekin main apne parivaar se darr rahi hoon." Us raat hum bohot der tak baat karte rahe. Usne mujhe bataya ki wo mujhe kabhi pasand karti thi, lekin apne parivaar ke dar se kabhi kuch nahi kaha.
Uske birthday par maine ek surprise plan kiya. Raat ko 12 baje main ek cake lekar uske ghar ke terrace par gaya aur usse bulaya. Hamare ghar paas hi the, toh jaana aasaan tha. Wo upar aayi aur cake dekh kar surprise ho gayi. Hamne cake cut kiya aur subah tak terrace par baithe rahe. Hamaare beech ki rishta aur gehra hota gaya. Hum chhoti chhoti baaton par ladte bhi the, lekin har ladaai ke baad hamaara pyaar aur gehra hota gaya. Lekin wo hamesha is baat se pareshaan rehti thi ki agar uske parivaar ne humare rishton ko nahi maana toh kya hoga. Uska dil toot jaata tha jab wo ye sochti thi, aur main usko hamesha tasalli deta tha ki sab theek ho jayega.
Phir ek din mujhe laga ki Sana mujhse doori banane lagi hai. Uska phone bhi off rehta tha. Main chinta mein tha aur uski ek friend se baat ki. Usne mujhe bataya ki Sana ki maa ko hum dono ke bare mein pata chal gaya hai aur unhone use mujhse milne se mana kar diya hai. Mera dil dukh gaya aur maine socha ki Sana ki maa se baat kar leta hoon. Main unse mila aur kaha, "Main Sana se shaadi karna chahta hoon." Lekin unhone meri baat ko mana kar diya aur kaha ki hum dono ke beech kuch nahi ho sakta. Kuch din baad mujhe pata chala ki Sana ki shaadi fix ho gayi hai. Yeh sunkar main hil gaya.
Mujhe laga ki main kuch nahi kar sakta. Shadi ke din nazdeek aate jaa rahe the aur mere dil ka dard barhta jaa raha tha. Ek din uske ek dost ka phone aaya aur usne bataya ki Sana mujhse milna chahti hai. Main usse milne gaya aur wo bohot ro rahi thi. Usne kaha, "Main apne parivaar ke khilaaf nahi jaa sakti. Tum apni zindagi mein aage badh jao aur khush raho." Main samajh nahi paaya ki kya kahoon, bas wo wahan se chali gayi.
Shaadi ke ek din pehle maine socha ki main yeh sab nahi dekh sakta aur isliye apne dosto ke saath bahar jaane ka plan banaya. Lekin mere ghar walon ne mujhe rukne ko kaha aur main unki baat nahi taal saka. Shaadi ke din mujhe har kaam mein laga diya gaya. Har jagah log khush the, lekin mera dil ekdum toot gaya tha. Jab mujhe dulha-dulhan ke stage par jaake chair rakhni padi, toh mere pair kaanp rahe the. Uske chehre par aankh ghumane par uski ankhon mein aansu dekhkar main wahan se chal diya.
Shaadi ke baad reception tha, lekin main wahan nahi gaya. Apne dosto ke paas hi raha aur unke saath apna dard baata. Aaj uske shaadi ko ek saal ho gaya hai, aur main Mumbai se Hyderabad shift ho gaya hoon. Har baar jab Sana apne mayke aati hai, toh main apne ghar nahi jaata. Aaj bhi, uski yaad aati hai aur dard waise hi hai.
Dosto, kuch cheezein hamare bas mein nahi hoti. Hume apne haalaton ke saath adjust karna padta hai. Main bhi adjust karne ki koshish kar raha hoon, lekin mujhe pata hai, mujhe waqt lagega.
Pyaar Ke Us Mod Par
Who is online
Users browsing this forum: No registered users and 1 guest