Page 1 of 1

Tumhari Muskurahat Meri Zindagi

Posted: Tue Nov 05, 2024 3:08 am
by aries
Ek safed rang ki Esteem gaadi Meerut se Delhi ja rahe rajmarg par daud rahi thi. Driving seat par baitha vah Sagar naam ka koi 27 varshiya khoobsurat yuva badi hi bechaini ke saath gaadi chala raha tha. 6 feet lamba, chhahara badan, gora rang aur sundar chehre wala yah yuva baar-baar badi bechaini se apne sir ko jhatak raha tha.

Gaadi chalte hue-hi vah budbudaya: "Pooore paanch saal ho gaye humein ek doosre se alag hue. Aaj ke din hi paanch saal pehle to gaya tha main tumhare paas se, kash mujhe maloom hota ki mera tumse door jaana mujhe hamesha hamesha ke liye tumse alag kar dega to main kabhi bhi paise kamane ke liye Delhi na jata."

Budbudate hue uski aankhein bhar aayi, gaadi ki gati kaafi dheemi ho gayi thi. Is samay gaadi Modinagar ke paas se guzar rahi thi. Modinagar se thoda pehle hi sadak ke daahine taraf ek vishal pandal laga tha. Hazaron ki sankhya mein wahan logo ka hujoom ikattha tha. Sagar ne driving karte waqt hi ek uchhatti si nigah uss taraf daali.

Vah haule se chaunk gaya – “Itni bheed, aakhir chakkar kya hai? Kya koi vishesh vyakti yahaan aa raha hai?”

Man mein uthi utsukta ke karan usne gaadi uss vishal pandal ke aage rok di. Wahan se guzar rahe ek vyakti se poocha – “Bhai yahaan kya ho raha hai?”

“Yahaan Maa Asha Devi apne pravachan ka amritpaan sunane aayi hui hain, log unhi ke darshan karne aa rahe hain. Bhai sahab, badi door door se log unke paas aate hain, koi chahe kitna bhi dukhi kyon na ho, lekin Mata ki sharan mein aate hi use saare jhanjhaton se mukti mil jaati hai. Aisi shaanti milti hai man ko jaise varsho se pyaase vyakti ko ekaak dheere saara nirmal meetha jal mil gaya ho.”

Maa Asha Devi ki prashansa ka gungaan karta hua vah adhe bhi uski pandal mein ja ghusa. Sagar gaadi ke andar baitha hi na jaane palbhar tak kya sochta raha. Phir kuch nishchay man mein karke usne apni gaadi wahi ek line mein park kar di aur utarkar gaadi lock karke wahi pandal mein pahunch gaya. Pandal mein hazaron ki sankhya mein log the.

Dharti pe kaaleen aur chatain bichhayi hui thi jinn par sabhi log palthi maare bade hi shaant bhaav se baithe hue the. Stri purush, vruddh, yuva aur bachche sab ek doosre se badhkar us pandal mein upasthit the. Pandal ke doosre sire par bilkul saamne ek vishal koi 3 feet uncha, pandrah feet lamba aur das feet chhoda ek manch bana tha.

Jis par gaddhe, takiye vagairah sab lage the aur ek vishesh andaaz mein uss manch ko sajaya gaya tha.

Manch ke dono taraf koi 20 vyakti aur itni hi sankhya mein auratein vidyamaan thi jinke chehre us athah janasamuday ki taraf hi the. Shayad ve log Mataji ke vishesh shishyon mein se the, abhi tak Mataji apne sthaan tak nahi pahunchi thi. Manch par unke aasan ke saamne kai maik lagay hue the. Pandal ke andar bhi kai speakers lagay hue the.

Press photographers aur video camera wale bhi Mataji ke pravachanon aur unki chhavi ko apne cameras aur tape recorders mein qaid karne ko tatpar dikhai de rahe the. Police ke sipahi bhi mustadi se apni duty nibha rahe the. Kul milakar badi hi achhi vyavastha is samay pandal mein thi. Tabhi ek vardi dhaari ne toka “Shri maan ji aap kripya karke waha aage jakar baith jaayein.”

Sagar ki tandra toot gayi aur vah apne vicharon ko jhatakhta thoda aage jakar anya logon ke saath baith gaya. Uske man mein ab na jaane kyon ajeeb si halchal mach gayi thi. Pratipal uska man Maa Asha Devi ke darshan karne ke liye tadap sa raha tha. Use thodi der hi prateeksha karni padi. Tabhi pandal gagan bhedi naaron se goonj utha “Asha Maiya Ki Jai! Asha Maiya Zindabad!”

Pandal mein baithe hazaron log tatkaal Maa Asha Devi ke sammaan mein uth khade hue. Sagar bhi hadbadakar khada ho gaya. Usne dekha gehuney vastr mein lipti ek roopsi koi pachis varshiya anidhya sundari thi jiske mukh mandal par teevra tej prakat ho raha tha.

Chehra kuch is tarah damak raha tha jaise suraj ne apna ansh uske chehre ko samarpit kar diya ho. Prakash punj sa uske chehre aur lalat se nikalta hua sa lag raha tha. Badi shaalinta se vah pandal mein ghusti chali gayi. Uske ird gird bhakton ka samooh tha jo pandal ke muhane par hi ruk gaya. Vah apne aasan ke paas pahunchkar palti aur sabhi ko haath se baithne ka ishara kiya.

Athah janasamuh tatkaal neeche baith gaya. Sabhi ki nigahen Asha Mata ke chehre par tiki hui thi. Pandal mein behad pena sannata khinch chuka tha. Vah badi shaalinta se apne aasan pe baithi aur ek bharpoor nigah usne upasthit janasamuday par daali. Aur Sagar … na jaane kyon ekatak Asha Devi ke chehre ko takta raha.

Jyon jyon uske man mein vishwas sa hota ja raha tha tyon tyon vah aschary ke sagar mein doobta ja raha tha. Behed aschary uski aankhon mein umadta ja raha tha. Uski samajh mein nahi aa raha tha ke vah gala phaadkar hansne lagega ya cheenk maar maar kar rone lagega. Uski dasha badi hi vichitra ho rahi thi. Vah na hans sakta tha na ro sakta tha.

Kinkartavyavimudhh sa bana vah ekatak bhaav se Asha Devi ko dekhta raha. Asha Devi ke pravachan shuru ho chuke the parantu Sagar ke kaano mein unke shabdon ki koi awaaz nahi padh rahi thi, wahaan to seetiyan si goonj rahi thi. Jyon-jyon samay beet raha tha Sagar par paagalpan ka daur sa chhane laga tha. Use aabhaas hone laga tha ke uske dimaag ki nashein tanav se ainchti ja rahi hain aur thodi der mein ve phat padengi.

Uska dimaag kisi atom bomb ki tarah phat jayega. Apne dono haathon se usne apne sar ko beench liya. Tab tak pravachan samaapt ho chuke the. Aakaash ki taan mein Sagar ko laga ke uska sampoorn sharir dahak kar aag ka gola banata ja raha hai. Use apne sharir se aag ki laptein si nikalti mehsoos hone lagi. Use apna sar bahut bhaari lagne laga aur jaise abhi phat jayega.

Sagar ne buri tarah se apne dono haathon se apne sar ko beench liya. Tatkaal hi vah poori taqat se cheekha – nahi….. nahi... Sumeedha nahi, tum mere saath itna ghor anyay nahi kar sakti. Main mar jaaunga Sumeedha .... main mar jaaunga. Samoohe pandal mein vah awaaz goonji. Sab ne chaunk kar Sagar ki taraf dekha saath hi manch se uthne ki taiyaari kar rahi Asha Devi ne bhi chihunkar Sagar ki taraf dekha.

Vah apni aankhein phaadke Sagar ko dekh rahi thi jo apne dono haathon se sar ko beench kar nirantar cheekhe ja raha tha. Maanon vah paagal ho utha ho. Aur tabhi vah khada hua. Sulagti nigahoon se ek baar usne Asha Devi ki taraf dekha. Tatkaal hi vah dhadam se logo ke beech mein gir pada. Paas hi baithe logon ne hadbadakar uski taraf dekha aur nabz tatoi.

“Mataji y

eh to behosh ho gaya hai.” Koi bheed mein se cheekha. Asha Devi jaise sote se jaagi – “Kya hua?” ..... Mataji bechara behosh ho gaya hai. Shayad bechara bahut dukhi hai.

Asha Devi ki aankhon ke saamne toofan sa umadna laga. Tatkaal hi vah cheenki – Inhe uthakar humare aaraamghar mein pahucha do.

“Jo aagya Maate – kuch logo ne gulaamon ki bhanti apna sar jhuka diya.

Kehte hi Asha Devi pandal se uth khadi hui aur wahi inter college mein bane apne aaraamghar ki taraf chal padi. Chaar logo ne Sagar ko apni baahon mein uthaya aur Asha Devi ke peeche peeche unke aaraamghar ki taraf chal padey.

Bheed mein se koi bola, "Haan bhaiyaa, dukhi tha tabhi to yahaan Mata ki sharan mein aaya hoga."
Koi doosra bola, "Kuch bhi ho bhaiyaa, Mataji ki mahima bhi badi aparmpaar hai. Kitne dukhi peedit log yahaan aate hain aur Mataji ke darshan matra se unke saare vighn pal bhar mein door ho jaate hain."
"Haan bhaiyaa, tabhi to door door se log inke pravachan sunne pahuch jaate hain," ek aur bhakt bola.

"Dekha nahi us vyakti ke dukh ko dekhkar Mataji ke chehre par kitna dukh tha?"
"Woh to apne bhakton ko dekhkar dukhi hone wali Mata hai. Bhaiyaa, mahaan log apne bhakton ke dukh se hi dukhi ho jaate hain."
Is tarah sab apne-apne bhav prakat karte karte pandal se baahar aane lage.

"Udhar Aaraam Grih Mein"
"Mataji, inhe hosh aa raha hai," paani ke chheente deta ek vyakti Sagar ko kuch budbudate hue dekhkar paas baithe Asha Devi se bola.
Asha Devi ne dheere se nigaahen uthakar Sagar ko dekha.
Phir woh kamre mein upasthit logo se boli, "Aap sab log baahar chale jaiye, koi bhi hamari aagya ke bina kamre mein aane ka prayaas na kare."
"Jo aagya Maate!" tatkaal hi sabhi log us kamre se baahar nikal gaye.
Sagar ne dheere dheere aankhen kholi. Turant hi uski nazar kamre mein chaaron taraf ghoomi, is samay woh bade sundar dhang se saje kamre mein bed par leita tha.
Usne dekha ki is kamre mein 4 kursiyan, 2 sundar stool aur ek mej aur sundar sundar ghamle rakhe hue the jinmein taaze phool khil rahe the, jinki mahak se saara kamra mehka raha tha.

Apni nigaahen chaaron taraf ghumata hua Sagar asahay bhav se dekhne laga to uski nazar paas mein kursi par baithi Asha Devi par padi.
Ek siharan si Sagar ke badan par daud gayi. Kai bhav aur rang ek saath uske chehre par aakar guzar gaye.
Jabki Asha Devi bhavheen chehra liye bas ekatak Sagar ke sundar, shaaleen aur saumy chehre ko taakti rahi.

"T...tum" Sagar ki awaaz ladkhadane lagi.
"Haan Sagar, main wahi hoon jise tum pehchaan chuke ho," Asha Devi nirvikar bhav se boli.
"Sumeidha.....!" Sagar tatkaal hi bed se uth kar Sumeidha ke gale se lipat gaya. "Yeh tumne kaun sa roop dhaaran kar liya, kyun is samaaj se naata tod liya, kyun yeh vairagya apna liya.... mujhe kyun itni badi saza de daali Sumeidha kyun?"

Sumeidha ne Sagar ke kandhon ko pakda aur use dheere se apne se alag karke uska sir apni god mein rakh liya.
Aankhon mein badi teevrata se aansuon ki lehr umad padi, jise Sumeidha ne badi hi safai se andar hi andar pee liya.
"Vakt ke jo lamhe beet chuke hain unhein doharaane se koi laabh nahi hoga."

Sumeidha ne bade hi shaaleen swar mein kaha, "Aaj vakt kya chaah raha hai, yeh socho aur samjho. Apne ateet ki taraf bhaagne ke bajaye vartaman ko dekho Sagar aur bhavishya par drishti rakho. Ismein tumhein waasvik aanand ki anubhooti hogi."

"Yeh gudd baatein ek saadhaaran vyakti ki samajh se pare hain. Main to sirf itna jaanta hoon ke tum meri ho, sirf meri."
Sagar ne Sumeidha ki god mein apna sir chhupa liya. "Paanch saalon se kaha kaha nahi khoja maine tumhein, saari duniya ki khaak chhante chhante main thak gaya Sumeidha, aur jab aaj tum mili to is roop mein... aah meri Sumeidha, hazaaro bhakton ki aasha ka kendra ban kar Asha Devi ke roop mein pooji ja rahi ho."
"Shayad vakt aur meri kismat ko yeh manzoor tha Sagar!"

"Nahi... nahi Sumeidha nahi!" Sagar virodhpurn swar mein bola, "Main kismat par vishwas nahi karta, main to manushya ki ichhashakti, uske dridh nishchay aur vishwas par aastha rakhta hoon, main kismat ko nahi maanta."
"Tum vakt ko to maante ho na?"
"Haan."

"To samajh lo, vakt ko manzoor nahi tha hamara milna. Use to yeh manzoor tha jis roop mein aaj hum mile hain."
"Sumeidha...!" Sagar tadap uthaa. "Meri 5 saalon ki yeh tapasya nishphal nahi ho sakti, tumhe yeh gehua rang ka chhoga utaarna hi hoga. Aaj tumhe liye bina main yahaan se nahi jaaunga!"
"Yeh asambhav hai Sagar!" Sumeidha ke chehre par dridh nishchay umda. "Aaj main apni manzil par itna aage badh chuki hoon ke khud bhi chaahkar ab waapas lautne ki samarthya nahi rahi mujh mein.
Sumeidha..." Sagar bilkh padh gaya.

"Dekho Sumeidha, sirf tumhe paane ki chaahat mein main ek bahut hi kaamyab aadmi ban gaya. Main kangalpati se karodpati ban gaya. Maine din raat ek kar diye, maine apne jeevan ki ek ek saans apne aap ko upar uthane mein arpit kar di. Main aaj ek kaamyab script writer hoon, mere paas karodon ki sampatti hai, gaadi hai, banglay hain, bas tum nahi ho."
"Mujhe aaj yeh jaankar bahut khushi ho rahi hai Sagar ke tum ek bahut bade aadmi ban gaye ho."
"Lekin mujhe aisa bada aadmi nahi banna ki main tumhe paa na sakoon."
"Mujhe bhool hi jao Sagar to adhik behtar hoga." Sumeidha ne bechaini se pehlu badla, "Samajh lena ki Sumeidha mar gayi hai."
"Nahi."
"Pichhle 10 saalon se main jis tasveer ko main dil mein basaaye baitha hoon, use kaise bhoolaa doon. Kya tum mujhe bhool sakti ho Sumeidha... bolo bolo kya tum mujhe bhool paayi ho... bhool paayi ho tum mujhe?"
Sumeidha ne vivashatabhari nigaahon se Sagar ko dekha; Sagar ke chehre par toofan sa umad raha tha.
"Sagar, maine samjhauta kar liya hai."
"Kisse?"
"Haalaton se."
"Kaisa samjhauta?"
"Meri har saans ab logo ki seva aur unke maargdarshan mein samarpit ho chuki hai."
"To phir ek kaam karo Sumeidha?"
"Kya?"
"Tum apne kisi sevak ko aadesh do ki woh tatkaal kahin se zahar le aaye aur sharbat mein gholkar apne haathon se mujhe pila de."
"S .... Sagar!"

"Bas ab yehi samadhan hai main tabhi mukt ho paunga zindagi ki is bekaar bhagdaud se, har din ke rone tadapne se."

"Chup karo Sagar, main is tarah ke shabdon ko tumhare mooh se nahi sunna chahti."

"Jaanta hoon tumhe pehle hi mere mooh se nikle aise shabdon par sakht aitraaz tha!" Sagar ke hothon par anayasi hi muskaan ubhar aayi – "Maine ye baatein isliye kahi thi ke taaki main jaan sakoon ke tum aaj bhi mera khyaal utna hi rakhti ho, kya tum aaj bhi wahi satya aur pavitra prem karti ho ya nahi!"

"S .... Sagar sachchai to ye hai ke meri zindagi mein aane wale wo pratham vyakti tum hi the jisme mere dil mein prem ke beej ko ankurit kiya."

"Sumehda phir kyun khud ko is gereue vastra mein lapetkar jeetegi ek zinda laash bankar jee rahi ho."

"Sagar tumhare dwara ankurit us prem beej ka hi chamatkaar hai ye." Woh dheere se boli – "Tumhare usi athah prem ki dariya main aaj dono haathon se is duniya par luta rahi ho aur kamaal hai ki jitna main ise luta rahi hoon ye usse kai guna fir mere paas ikatrit ho jaata hai jaise kabhi khatam hi nahi hoga."

"Sumehda in sab baaton ko ghar jaakar karenge chalo ab tum mere saath chalo."

"Sagar tum sooraj se kaho ki wo paschim se nikla kare dariya se kaho ki wo Himalaya parvat ki taraf behne lage to sambhav hai ye tumhari baat maan lein magar jis baat ko aaj tum Asha Devi se keh rahe ho woh is janam mein to sambhav hi nahi ho sakti."

"To fir mujhe batao main kya karu?"

"Ghar jao aur apne career tathaa parivar par dhyaan do."

"Bhaad mein jaaye career bhatti mein jaaye parivar .....!"

"Aisa nahi kehte Sagar, arre maine hi to tumhara naam Sagar rakha tha jaante ho kyon? Kyonki Sagar ki pravritti gambhir hoti hai, wo duniya ki har acchi buri vastu ko apne garbh mein sametey hue hai." Sumehda boli – "Tum bhi Sagar ki saarthakta ko bhang mat karo uski gambhirta aur viraat swaroop ko smaran rakho, mere liye tumne khud ko aaj ek kaamyab insaan bana liya ab tum khud ko ek parivar ke prati jimmedar bhi banao."

"Sumehda.....!" Sagar tilmilaaye swar mein bola – "Main kya karu main chaahkar bhi tumhe nahi bhool pa raha hoon aur ab to tumhare bina jee bhi nahi paunga, tumhe is roop mein dekhkar main kaise shaan se apne ghar mein rahunga?"

"Jaise pehle rehte the waise hi rahoge."

"Tum mujhe saza de rahi ho Sumehda ..... Main jaanta hoon tum mujhe saza de rahi ho......... Shayad main hoon bhi is kabil."

"N..... Nahi Sagar, nahi main tumhe koi saza nahi dungi."

"To..."

"Meri baat thodi gambhirta se suno."

"Sun raha hoon."

"Tumhe yaad hai wo din jab tumne mujhe apni baahon mein bhar kar kaha tha ki Sumehda mera intezaar karna .... main tumhari khatir ja raha hoon is duniya se takkar lene laayak insaan banne, mera intezaar karna Sumehda."

"Haan mujhe yaad hai."

"To ye bhi yaad hoga ki un dinon meri kokh mein tumhara ansh pal raha tha."

"Nahi mujhe is baat ki koi khabar nahi thi." Sagar ne virodh kiya - "Sach maano Sumehda mujhe is baat ki koi jaankari nahi thi."

"K.... Kya..... Tumhe jaankari nahi thi ki main tumhare bete ki maa banne waali thi."

"K... Kya.... Mera beta?"

"Haan tumhara beta."

"T... Tum mere bete ki maa banne waali thi."

"Haan... Haan."

"Sumehda mujhe to aaj tumhare mooh se hi sunne ko mil raha hai ki tum meri amaanat ko apne garbh mein sthaan de baithi thi."

"Haan Sagar meri kokh mein tumhara ansh aa chuka tha." Sumehda boli – "Sachchai to ye hai ki mujhe swayam bhi us samay tak pata nahi tha jab tak tum mere paas the ye sab to mujhe bhi baad mein pata chala jab tumhare jaane ke baad mujhe ultiyan hone lagi aur jab dheere dheere mera pet badhne laga tha."

"Sumehda tumne kaise is samaaj se muqabla kiya hoga?" Sagar ki aankhon se aashcharya se phati ja rahi thi.

"Main muqabla kiya tha Sagar is samaaj se muqabla kiya tha maine .... maine apne pyaar ki nishani ki raksha ke liye apne parivaar, rishtedaar yahan tak ki is samuchhe samaaj se bagawat kar di."

"He Bhagwan itna bada sangharsh kiya tumne mere bete ke liye?"

"Humare bete ke liye maine mann mein thaan li thi ki har haal mein use janm doongi."

"T... Tumne mujhe pata kyun nahi kiya."

"Mere paas tumhara koi pata nahi tha. Kahaan-kahaan dhakke khaye maine tumhara pata jaanne ke liye, magar main nakaam rahi."

"Uff, mere Bhagwan kya kya beeti hogi tum par?"

"Mat pucho Sagar main apne pyaar ki nishani ko janm dene ke liye yahaan chhatpataati rahi, kis-kis darwaze par dastak di, magar .... magar main har taraf se niraash hi rahi aur aakhir mein tang aakar maine pita ka ghar chhod diya."

"Sagar bilakh pada – "T... Tumne kitni vipdaon ka saamna kiya Sumehda. Tumne meri khatir kitne kuch pehle hi kiya tha mere jaane ke baad bhi tumne mere prati samarpit bhavna par aanch nahi aane di aakhir, us samay mein bhi mere liye mere pyaar ki nishani ko jeevandan dene ke liye ghar tyaag diya."

"Sumehda ki aankhon se aansuon ki do dharaaye nikal kar uske surkh gol chehre ko geela kar rahi thi."

"Sumehda ki rulayi foot padi - Uske baad Sagar maine kahaan kahaan dhakke nahi khaye, kitne logo ne meri majboori ka fayda uthakar mujhe apni havas ka shikar banana chaaha main dar dar bhatki, lekin kahin kinara na mila."