Mera naam Rohan hai. Ek raat mujhe ek ladki ka message aaya, jisse main pehli baar mila tha. Hamari dosti dheere-dheere pyar mein badal gayi. Ab hum ek dusre ke bina reh nahi sakte. Uska naam Aditi hai, aur main usse bahut pyar karta hoon.
Pehle humare beech mein bahut jhagde hote the, par ab aisa nahi hota. Bas, jab se hum door hain, tab se sab kuch alag lagta hai. Aditi mere dil ke bahut kareeb hai; uske bina mera dil udaas rehta hai. Jab wo roti hai, toh mujhe aisa lagta hai jaise meri jaan nikal rahi hai.
Ek din maine usse kaha ki mujhe bhool jao, kyunki main tumhe bahut rulata hoon. Usne suna aur rone lagi, kehne lagi ki wo mere bina jee nahi sakti. Shayad usse ye nahi pata ki agar wo door gayi, toh sach mein meri jaan chali jayegi.
Us din maine usse kuch nahi kaha, par sach ye hai ki main uske bina jee nahi sakta. Meri chahat uske liye behad gehri hai; kash wo mere paas hoti, toh meri duniya mein koi kami nahi hoti.
Hum dosti se shuru hue the, par ab pyar bepanah ho gaya hai. Mere dil mein ek pyaara sa dard hai jo mujhe khushi deta hai. Main raat bhar usse baat karta hoon; wo mere saath hoti hai aur mera khayal rakhti hai. Uski khushi ke liye main dua karta hoon.
Lekin jab wo kisi aur ladke se baat karti hai, toh mujhe achha nahi lagta. Main uspar bahut trust karta hoon, par jab wo kisi se baat karti hai, toh mujhe bura lagta hai. Ek baar jab usne kisi ladke se baat ki thi, toh wo keh raha tha ki Rohan ko tum par bharosa nahi hai.
Main samajhta hoon ki jab wo kisi aur se baat karti hai, toh mujhe bura lagta hai. Kya ye galat hai? Kya mujhe is tarah se sochna chahiye? Agar main kisi aur ladki se baat kar loon, toh kya Aditi ko bura lagega? Ye sab soch kar mujhe samajh nahi aata ki kya sahi hai aur kya galat.
Kya main galat hun
Who is online
Users browsing this forum: No registered users and 0 guests