Page 1 of 1

Sundar Najara

Posted: Fri Sep 27, 2024 7:52 am
by aries
Do saal ho gaye is sheher mein aaye. In sab mein pata hi nahi chala ki main kab Lucknow ke rang mein ghul gaya. Na jaane kab yahan ki hawa mujhe beetay dinon ki yaad dilane lagi. Sheher ki sabhi prasiddh jagahen dekhi, par in do saalon mein kabhi yahan ki subah nahi dekhi. Aksar subah der se uthta tha. Ek din hostel ke bagal wale room se subah shor ke karan main jaldi uth gaya. Socha paas wale Chauraha se chai ka maza le loon.

Halki si os ke beech log apni manzil ki taraf aage badh rahe the. Tabhi ek tasveer dheere-dheere badi hoti nazar aayi. Geele baalon ko suljhate hue, wo chauraha ki taraf badh rahi thi. Neela coat, safed shirt aur us par blue aur white tie. Wo inter ki student lag rahi thi. Baar-baar apne chehre par aate baalon ko hataate hue, har baar mere dil par koi jaadu sa kar rahi thi. Uski julfoun mein main ulajh jana chahta tha; kam se kam apne baalon ke bahane mujhe suljhati.

Sardi se uski naak thodi laal ho gayi thi. Us laal rang se meri alasi aankhein poori tarah khul gayi thi. Uska chehra toh jaise mere dil ki hard disk mein hamesha ke liye save ho gaya tha. Kuch aur bhi kehna chahta tha usse, pyar toh nahi hua par haan, use ye zaroor batana chahta tha ki jaldi uthne ka subah ne mujhe kitna accha uphaar diya hai. Isse pehle kuch kehne ki himmat jhutata, uski bus aa gayi aur wo chali gayi. Aankhon ke saamne se wo sundar nazara door ja raha tha, wahi mere chai ka glass bhi ab khaali ho chuka tha.