by aries » Tue Nov 05, 2024 2:56 am
Yeh kahani hai Mahi ki, ek khoobsurat aur ambitious ladki jo Banaras ke ek gaon ke madhyam vargiya parivaar se hai. Filhal, woh Delhi mein hostel mein rehkar MBA kar rahi hai. Aaj jab Mahi college pahunchi, to mahaul kuch zyada hi roshni bhara tha, aur iska kaaran tha romantic—Valentine's Day bas aane hi wala tha. Yeh din yuva dilon ke liye khaas maayne rakhta hai, aksar ise prem parv bhi kaha jaata hai. Halanki Valentine’s Day abhi chaar din door tha, semester kal hi khatm hua tha, isliye sabhi apne celebrations ki planning mein busy the.
Hum sab jaante hain ki college life aur Valentine’s Day ka gehra sambandh hota hai. Yeh ek samay hai jahan excitement aur jawani ki urja bhari hoti hai, jahan pehli baar adulthood ki taraf kadam rakha jaata hai prem aur jazbaat ke sapno ke beech. Pura mahaul laal rang mein rang gaya tha, jo prem ka pratik hai. Kuchh students milne ki jagah tay kar rahe the, jabki doosre party ki taiyariyon par charcha kar rahe the. Ladke chinta mein the ki unke red roses kya sweekar kiye jayenge ya nahi, jabki ladkiyan apne shopping list se pareshan thi.
Mahi ko Valentine ke baaton mein zyada ruchi nahi thi kyunki woh filhal prem ke ahsas se door thi. Lekin woh apni saheliyon ki baatein dhyan se sun rahi thi. Uske mann mein kai sawal ghoom rahe the: Yeh prem hota kya hai? Kaise pata chalta hai ki saamne wala aapka Mr. Right hai? Khair, na toh Mahi ne kisi se poocha aur na hi kisi ko isse parwah thi; sabhi pyaar ki anjaani duniya mein kho gaye the.
Sara din inhi sab baaton mein guzar gaya. Jab Mahi hostel wapas aayi to us din ka excitement abhi bhi uske saath tha. Jab woh sone lagi, tab uska phone bajne laga, jisse woh chonk gayi. "Papa" screen par dekhkar usse ghabrahat hui; itni raat ko unka call dekhkar usse pareshani mehsoos hui. Call uthate hi Mahi ne suna:
“Maahi, aaj tumhari exams khatam ho gaye hain, isliye main chahta hoon ki tum kuch dino ke liye gaon aa jao. Tumhara rishta tay kar diya hai; baaki yahan aa kar pata chal jayega. Agar tumhari maa is duniya mein hoti to yeh baat tumse woh khud karti. Kal subah Sameer tumhe lene aayega. Khush raho.”
Mahi ne bhari dil se kaha, “Ji Papa, jaisa aap kahen.”
Uske papa ka call usse sapno ki duniya se vaapas la gaya tha. Mahi hamesha apne papa se darati thi; woh kabhi kathor nahi the lekin maa ke achanak nidhan aur rishtedaron ke dhokhe ke baad unka vyavhaar badal gaya tha. Woh yaad karti thi kitna toot gaye the papa maa ke jaane se.
Mahi ka chhota bhai Sameer bhi Delhi mein padhai kar raha tha lekin unka college aur hostel alag tha. Raat ko Mahi ne jaldi packing kar li, aur subah Sameer samay par usse lene aa gaya.
Maahi aur Sameer Dono banaras jane wali train me baith jate hain..Shayad thand ki vajah se bheed bahut kam thi....Maahi ko railgadi ka safar bahut ubau lagta tha...upar se man bhi bojhil tha . Kitna bada faisla papa ne kar diya tha Maahi ki jindgi ka vo bhi bhina bataye...Maahi ko ye soch kar bahut hansi aa rahi thi apni bebasi par ki kahan mai valentine aur mr . Right ke baare me soch rahi thi aur aaj ye vajrapat...
Thodi der tak khamosh rahne ke bad Sameer ne poochha ki Maahi di akhir bat kya hai? Ap itni pareshan kyu ho? Maahi ne dukhi man se apne papa ke dwara kahi gai sari baton ko Sameer ko bata dee ..Sameer bhi pareshan ho jata hai par halat ko samhate huye bade pyar se Maahi ko samjhata hai ki " Maahi di vo hamare papa hain..aaj tak hamare sare faisle unhone hi to kiye hain.,Ap yakin rakhiye papa ne jo bhi faisla liya hoga vo apke hit me hoga ," Maahi anmane man se sir haan me hila deti hai.
Sare yatri aa chuke the aur train apne gantvya sthal ke liye prasthan kar chuki thi..Maahi ke samne ki berth par ek ladka baitha hua tha jo dekhne me kafi smart tha,6 ft ke karib hight aur athlete body ka.. Chehre par ek sadabahar manmohak si muskan...Us ladke ne sameer ki ore haath badhate huye kaha ,' hi i am sujal ' , Sameer ne bhi haath bdhakar reply kiya ...Sujal kafi milansar tha ..jald hi uski dosti Sameer se ho gai..Maahi ko bhi sujal ka sence of humer bahut pasand aaya.Teeno hi ghul mil gaye aur baton ka silsila chal nikla..kab dopahar se raat ho gai pata hi na chala..sab thak gaye ……
Sameer aur Sujal apni-apni berth par chale gaye, sujal bhi koi novel padhne me vyast ho gaya...Lagbhag sare hi yatri so chuke the..Maahi abhi apne hi khayalo me khoi hui thi.,khidaki se bahar bhagti hui shahar ki battiyon aur station ki lights ko dekh rahi thi..maahi ke dimag me yahi chal raha tha ki zindgi pal bhar me na jane kya se kya ho jati hai..agar sameer gaanv sath na ja raha hota to shayad thoda sa vakt lagati ,khair kisi station ke ane par mahi ki tandra tooti....koi purana sa station tha..coffee wale ki awaj sun kar maahi coffee lane ke liye khadi hi hui thi ki sujal bhi uth khada hua,sujal ke uthne se uska novel gir gaya jise maahi ne uthaya..novel par lal colour se likha hua tha -
" Will you be my valentine"
Maahi ko vapas sari ghatnayein yaad aa gai....sath hi pyar ke ahsas me doobe chehre bhi yaad aane lage....saheliyon ki batein aur unke prem prasang jise yaad karke maahi ke hothon par ek halki si muskan tair gai jo bahut ki pyari si thi...dheemi roshni aur thand ki vajah se Maahi ka chehra behad haseen dikh raha tha..Maahi unhi gudgudane wale khayalon me khoi hui thi ki Sujal coffee lekar aa gaya...
Sujal vapas aakar maahi ke bilkul paas aakar baith gaya..sujal ko itane paas dekh kar maahi ka dil joron se dhadkne laga...vo sujal ki khushboo ko mahsoos kar rahi thi..ye vo khoobsurat ahsas tha jiske bare me shayad usne socha bhi na tha..maahi ko samjh hi nhi aa raha tha ke ye kaun si feeling hai, Sujal maahi ke itne kareeb beirada hi baith gaya tha, par maahi ke haseen chehre ho itne sameep pakar uski halat ajib si ho gai thi...maahi ki jhuki palkein aur usake labon ki thartharahat sujal ko diwana bana rahi thi.Nazron ka takrane se dono par anjana sa nasha chha raha tha..mulaquat pahli thi par lagaw na jane kyu bahut purana lag raha tha ..Dil me umang uthh rahi thi...yun nazarein milane aur churane me aseem aanand ki anubhuti ho rahi thi..Dhadkane satve aasman par pahunch chuki thi..Sujal to poori tarah kho ho jana chahta tha maahi ke sadgi bhare roop me par coffee ke patle thermocol cup se jab ungliyan jali to vo Romance ki duniya se jami par aa gaya aur maahi se door khisak gaya...dono ne rahat ki saans lee.
,Maahi ko Sujal bahut achha lag raha tha...par vo na jane kyu dar rahi thi...coffee peene ke baad maahi ne sujal ko jab novel vapas kiya to sujal ne maahi se poochha ap romantic novels pasand karti hain ? To maahi ne hairat bhari nigah se sujal ho dekha ...sujal ne haste huye maahi se kaha kabhi try kijiyega bahut hi achha novel hai ye...isme romance ko bahut hi bariki se samjhaya gaya...maahi ko sujal ki baat sharm si aa gai na jane kyu ?? Maahi ne muskura kar muh fer liya aur vapas khidki se bahar dekhne lagi.
Raat ka na jane kaun sa pahar tha jab maahi ki aankhen neend se koson door kuchh meethi ankahi si yadon me khoi hui thi.Iss pal maahi sare shikave bhool chuki thi ya yun kahein ke yaad nhi karna chahti thi..Pahli muhobbat ka ahsas use lagatar gudguda raha tha..Sab kuchh naya naya sa lag raha tha..Aaj pahli baar maahi ko saheliyon ki baatein sahi lag rahi thi ke jab pyar hota hai to saari duniya khoobsurat lagne lagti hai...ek meethi si muskan chehre par liye maahi ne jagte huye hi sari raat gujar di.
Achanak se badhte shor ki vajah se maahi khayalon ki duniya se vapas aayi to pata chala ki train banaras station par khadhi thi .. Sameer ne use uthne ka bola aur saman nikalne laga.. Sujal bhi jane ke liye taiyar tha .,use jata dekh mahi ke dil me hook si uthi ..nhi bhichhana chah rahi thi maahi..chand ghanton ka sath itna gahra tha hi maahi ki ghani palkon ko ashkon me duba gaya..vo apne dupatte se apni aankhon me aaye aansuon ko sameer aur sujal se chhipane lagi..Achank maahi ko kuchh khayal aata hai vo tezi se aage badh kar sujal ko khojne lagti hai...par sujal to ja chuka tha ..maahi khud kosne lagi ke cell no tak nhi liya..
Adhe ghante baad maahi apne ghar pahunch gai ...dukhi man se papa aur dadi se mili aur apne kamre me chali gai.....papa se samna hote hi maahi ko phir se usi dukh ne aakar gher liya ..bahut darti thi maahi apne papa se aur sabse badi baat ke maahi apne papa ko koi aur jhatka nhi dena chahti thi ...isi udhed bun me maahi yun hi kai ghanto tak khud se dwand karti rahi ...aur beti jeet gayi ek nayi naweli premika se..
Darwaje par dastak se maahi ki tandra tooti ..maahi ke papa hath me lifafa lekar khade huye the..maahi ko lifafa dete huye usake papa ne kaha " Maahi jaisa ki maine pahle bhi tumse kaha tha ke aaj agar tumhari ma jinda hoti to ye bate tumse vo hi kahti..beta mai tumhara pita hoon ..maine duniya dekhi hai..apni aulad ke liye koi pita kabhi galat faisla nhi karta hai. Mai ja raha hoon ..ye ladke ki tasweer rakhi hai dekh lo. Do din baad 14 feb ko tumhai sagai ki date fix kar di hai," …………
Lifafa maahi ke haanth me dekar uske papa bahar chale gaye.Apne papa ke jate hi maahi ne lifafe ko khud se door faink diya..aur sir ko ghutno me chhipa kar fafak fafak kar rone lagi ...Maa ka na hona bahut khal raha tha use.. Apne andar kuchh tootata hua sa mahsoos kar rahi rhi.Aaj agar ma hoti to ek baar jarur uske dil ki bat papa se kahti ..
Ladki hona aj use gunah sa lag raha tha...Achanak hi mahi ke jahan me sujal ka chehra kaundh gaya...dil bebsi ke aansu bahane laga ..pal bhar ko yun laga ke agar sujal na mila to maahi jinda nhi rah payegi.Agle hi pal ye bhi khayal aya ke kya batayegi vo apne papa se ...ek naam ke siva to vo bhi kuchh nhi janti sujal ke baare me...kuchh bhi nhi janti..kaun hai Kya karta hai ? Kaha rahta hai?……sari raat Maahi ne yu hi rokar gujar di..Kabhi ma ki yaad ati to kabhi sujal ke pyar me tadapti……
°°°°°°°°°14 Feb °°°°°°°°
Aaj 14 Feb ...mauka hai mahi ki sagai ka ... Sagai ki sham ki raunak dekhte hi ban rahi thi... Kahne ko to sagai saade samaroh me ho rahi thi par kafi log amantrit the .,Ladke wale bhi aa gaye the... sagai ke liye gaanv me rahte huye bhi bahut hi achhi taiyari ki gayi thi..Maahi ke papa ne Maahi ke man pasand phoolon ki sajawat karwaii thi... Sagai ke rasmo ki taiyari bahut hi manohari thi...Bahupratikshit ghadi bhi aa gai...Maahi ki aas pados ki saheliyan mahi ko sagai ki rasm ke liye le aayi...Gulabi sadi me lipti maahi khud hi koi gulab se kam nhi lag rahi thi .Maahi ka roop dekh Kar sabhi dang the.. Maahi ke aa jane par ladke ki ma ne maahi ki balayein vaari ..aur kaha " Sujal beta aao maahi ko angoothi pahnao "……………
Sujal ye naam sun kar Maahi ka dil achanak hi joron se dhadkne lagta hai...vo badi hi bekarari ke sath samne khade saksh par apni pahli nazar dalti hai...samne sujal khada tha ..maahi ke sapno ka prince...vahi chir parichit muskan aur aankhon me bepanah muhobbat...Maahi ki khushi ka to thikana hi na raha...Sujal aage badhta hai aur maahi ko angoothi pahnata hai aur lagbha fusfusate huye maahi ke kaano me kahta hai.………
" Will you be my valentine "
Theme : Sometimes Love Can Baffle You