by aries » Mon Sep 30, 2024 10:00 am
Main aathvi kaksha mein tha, jab meri class mein ek nayi ladki ka admission hua. Pehli baar use dekhte hi, main us par dil haar gaya. Ye ehsaas kitna anokha tha; uske alawa aur koi khayal nahi aata. Uska hansna, bolna, chalna, muskurana—sab kuch mujhe pasand aane laga. Lekin kuch samay baad mujhe ehsaas hua ki ye sirf ek tarfa pyar tha. Usne aathvi aur nauvi kaksha hamare school se ki, aur phir mujhe pata chala ki usne kisi doosre school mein admission le liya hai.
Mujhe ye bhi nahi pata chala ki uska school kaunsa hai. Kahaan toh main soch raha tha ki ab ye ladki meri zindagi bhar saath rahegi, lekin ye rishta itna kamzor bhi ho sakta hai, maine kabhi nahi socha tha. Is ghatna ka meri poori shakhsiyat par kafi asar pada. Na toh padhai mein mann lagta tha aur na doston ke saath maze karne ka mann karta tha.
Lekin ek din meri khushi ka thikana nahi raha, jab hamare dasvi board ka exam center ek hi school mein pada. Alag-alag school se bachche aaye hue the aur hum pehle se ek dusre ko jaante the.
Exam khatam hone ka waqt aa gaya tha. Main sochne laga ki ab ye phir se door chali jayegi. Toh pyar ke baare mein baad mein kahunga, abhi toh isse dosti bana leta hoon, taaki hum ek dusre se contact mein rahein. Maine kaha, "Mujhse dosti karogi?" Usne mera offer aasani se maan liya.
Aaj 14 saal baad bhi hum sirf dost hi hain. Meri shaadi do saal pehle hui thi aur ab uski bhi ho chuki hai.